Tuesday, 17 May 2011

^_^Wasal^_^


"e chand mera saamne to aa
aaj sajda tuzhe karna hai !!
e armaan mera saath de zara
aaj baahon mein usse bharna hai !!
e ummeed tera intezar khatam
aaj haqiqat mein tuzhe badalna hai !!
e Qaza tera koi darr nahi
aaj jeena nahi muzhe marna hai!!
e dil tu zara aaraam kar le
aaj tune zoro se dhadhakna hai !!
e saans tu wada kar zara
mein doob jaaon to bachayagi na !!
e jaan tu taiyaar ho ga
aaj phir tune jism badalna hai !!"
....Param 17/5/11

No comments:

Post a Comment