Buhut aasaan hota hai,
kisise rooth ke jaana.
Buhut mushkil roothe hue,
kisi apne ko manaana.
Buhut veeraan hota hai,
tanha dil aur khali aasmaan.
Buhut beparwaah ye duniya,
Buhut zaalim hai zamaana.
Amaavas ki andheeri raat mein,
chahat ka rangeen fasaana.
Jaise veeraan registaan mein
aarmaano ka ghar basana.
Buhut mushkil nahi hota
pyaar main jee- jaan lutaana
Kahin kadr nahi hoti to
kahin hota hai bahaana
Kahin sitaare nahi milte
kahin dhadkano ka taraana
Kabhi khyaal nahi milte
kabhi hakeekaton ka taana
Kabhi wakt nahi milta
ya ghere hota h zamaana
Ek ummeed jo nazar aaye to
padhta hai soo jaana
Ye dil kabhi roota h to
padhta h chupaana
E dard mere dil ke
tu unke aansoo na bannjana
Buhut mushkil safar hai
mohobbat ka maaana
Par mumkin nahi aansoo liye
kisi aur ko hassaana
Tu mere bare me na sooch
mein to hu hi dewaana
Fizool mere liye tu apna chain
apni neenden na gawaana
Ho lakh khata sahi par
main tumse khafa nahi
Mein lakh bura sahi par
mein tujse juda nahi
Ummeed hu mayoos hu
majboor hu tumse door hu jaana
Ho jaaye agar baat to
mera saath nibhana
Na ho kabhi mumkin
to aansoo na bahaana
Yun yaad karna mujhko ke
mein fakr se jaagoon
Tum jab kabhi tanhan raho